aqwaal-e-masoom a.s
*بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمٰنِ ٱلرَّحِيمِ*
Rasule Khuda (saww)
se ek shakhs ne arz ki, "Huzoor (saww)! Ek shakhs apne hum-saaye (padosi) ki naamus (aurato'n) par nazar rakhta hai aur agar usay mauqa mil jaaye to feyl e haraam se bhi parhez na karega". Pus, Rasule Khuda (saww) ye sunte hi gazab-naak huwe aur farmaya, "Usko mere paas pesh karo", to kisi ne keh diya, "Ya Rasulallah (saww)! Wo to aap ka aur Ali (as) ka Shia kehlaata hai aur aap ke dushmano'n se bezaari ka ailaan karta hai". Rasule Khuda (saww) ne farmaya, "Aise shakhs ko hamara Shia na kaho. Hamara Shia wo hai jo hamari pairavi kare".
Tafseer e Anwaar e Najaf, v12, p44
*Salwat*
*اللھم عجل لولیک الفرج(ع)*
*اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ*
*وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن*
Comments
Post a Comment