aqwaal-e-masoom a.s
*بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمٰنِ ٱلرَّحِيمِ*
Imam Sadiq (as)
se Mufazzal bin Umar ne daryaaft kiya, "Musalmano'n ki kitni Eidein hain?" Aap ne farmaya, "4". Mufazzal ne kaha, "Eidain (Eid ul Fitr & Eid uz Zoha) aur Juma ko to main jaanta hoo'n. Chauthi Eid kaun si hai?" Aap ne farmaya, "Chauthi Eid oon tamaam Eido'n se afzal o akram hai wo hai Eid e Ghadeer, jab Huzoor e Akram (saww) ne 18 Zilhajj ko apne bhai ko apna jaanasheen muqarrar farmaya tha". Mufazzal ne puchha, "Hamein oos din kya karna chahiye". Imam (as) ne farmaya, "Oos din har sa'at (har pal) Allah ki Hamd o Shukr karna chahiye aur Roza rakhna chahiye. Pichhli Ummato'n mein bhi ye dastoor tha ke jis din kisi Wasi ka ailaan kiya jaata tha to wo Ummat oos din ko Eid ka din qaraar deti thi. Eid e Ghadeer ke din ka Roza 60 mahino'n ke Rozo'n ke barabar hai."
Hadiyat ush Shia, p280
*Salwat*
*اللھم عجل لولیک الفرج(ع)*
*اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ*
*وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن*
Comments
Post a Comment