aqwaal-e-masoom.as

*بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمٰنِ ٱلرَّحِيمِ*


Imam Sajjad (as)

Aye Paalne wale! Beshak Teri bargaah se hamari bahut si lambi ummed hain. Beshak hum Teri bargaah se badi badi aarzuein rakhte hain. Hum Teri na-farmaani karte hain to bhi humein aas hai ke Tu hamari purdah-poshi karega. Aur hum Tujh se Dua maangte hain to Ummeed karte hain ke Tu hamari Dua ko qubool karega. Pus, Aye hamare Maula! Hamari ummeedein poori farma, agar che hum jaante hain ke hamare aamaal ki sazaa kya hai. Lekin Tera Ilm hamare baare mein aur humein iska Ilm hai ke Tu humein Apne yahaa'n se paltayega nahi, chaahe hum Teri Rehmat ke haqdaar na bhi huwe. Pus, Tu iska ahl hai ke hum par aur doosre gunah-gaaro'n par Apne wasee-tar fazl se madad kare kyun ki hum Tere inaam ke mohtaaj hai.

Dua e Abu Hamza Sumaali


*Salwat*

 *اللھم عجل لولیک الفرج(ع)*

*اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ*

*وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن*


Comments