...(Aashur ke) Roze ka zikr na Kitaab e Khuda mein hai na Sunnat e Rasul (saww) mein. Ye Imam Husain (as) ke qatl ke baad sunnat e Aal e Ziyad (la) qaraar paayi hai.
*بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمٰنِ ٱلرَّحِيمِ* Imam Baqir (as) Allah Ta’ala ne Imam Husain (as) ki shahadat ke evaz Imamat ko aap ki aulaad mein qaraar diya hai aur aap ki qabr ki mitti shifa qaraar di hai aur aap ki qabr ko Duao’n ke qubool hone ki jagah qaraar diya hai aur koi zamana aisa nahi hoga ke uspar zaaireen ka aana aur jaana na laga rahega. Amaali – Shaikh Toosi, v2, p419 *Salwat* *اللھم عجل لولیک الفرج(ع)* *اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ* *وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن*
*بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمٰنِ ٱلرَّحِيمِ* Riwayat H. Ali (as) ki beti ne Yazeed Mal'oon se kaha, "Aye Yazeed (Mal'oon)! Tu jitna chahe makr o fareb kar le, tu jitni koshish karna chahta hai kar le, Khuda ki qasam! Tu rehti duniya tak hamara zikr nahi mitta sakta aur na hi hamari Wahi ke pakiza aasaar khatm kar sakta hai. Aur na hi tu hamari qadr o manzelat aur daraazi e muddat tak pahu'nch sakta hai. Tu ne jis jurm ka irtekaab kiya hai uska bad-numa daag apne daaman se nahi dho sakta". Maqtal e Mukarram, p75 *Salwat* *اللھم عجل لولیک الفرج(ع)* *اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ* *وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن*
*بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمٰنِ ٱلرَّحِيمِ* Imam Sajjad (as) Allah Ta'ala Abbas (as) par Rahem kare, yaani Abbas ibn Ali (as) par Rahem kare. Unhone mere waalid ke liye isaar se kaam liya aur mere waalid ki hifazat ke liye apni jaan ka nazrana pesh kiya. Unke haath qalam huwe. Unke haatho'n ke badle mein Khuda ne unhe 2 par ataa kiye hain. Wo Jafar bin Abu Talib (as) ke jaise Malaaika ke saath Jannat mein parwaaz karte hain. Allah ke yahaa'n Abbas (as) ka wo maqaam hai ke Qayamat ke din tamaam Shohda unpar rashk (irsha / envy) karenge. Tafseer Noor us Saqlain, v7, p118 *Salwat* *اللھم عجل لولیک الفرج(ع)* *اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ* *وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن*
Comments
Post a Comment