aqwaal-e-masoom a.s
Imam Sadiq (as)
se kisi ne Ashura ke din Roza rakhne ke baare mein sawaal kiya. Aap ne farmaya, "Ashura shahadat e Imam Husain (as) ka din hai. Agar tu qatl e Imam Husain (as) se khush ho to is din Roza rakh." Phir farmaya, Bani Umayya aur unke madadgaaro'n (Ahle Shaam) ne is din Nazr ki thi ke agar Imam Husain (as) qatl ho ya jis mal'oon ne oon par khurooj kiya hai wo zinda bach jaaye aur Khilaafat e Aal e Abi Sufyaan qaayam rahe to uske shukriye mein Roza rakhenge aur is sabab se Saum e Ashura (Ashura ka Roza) Aal e Abi Sufyaan mein sunnat huwa aur inki pairavi se sab log is din Roze ko sunnat jaante hain.
Comments
Post a Comment